To Share

Friday 3 April 2015

Haal-e-Dil... suhane mausam mein..

Ye mausam apna kaun sa haal bayan kar raha hai?
Ye barish mujhse kya kehna chah rai hai?
Ye badal mujh par garaj kar kyu chilla rahe hain?
Ye behta hua pani mujhe konsi disha dikha raha hai?
Ye bheegte masoom jaanvar apna dard kese baant te hain?
Ye murjhate gehun ke podhe kyu aaj khush nahi hain?
Ye kadakti hui bijli mere jeevan k kis hisse par prakash daal rahi hai?
Kese khoju in sawalo k jawab jo prakrati mujhe dena chahti hai?
Kese samjhu us bhasha ko jiske liye me na samajh hu?
Me na samajh hu ya apne aapko bana rakha h?
Mujhe samajh nahi aata ya me samajhna nahi chahta?
Kya, kyu, kese, kab, kaha or kis liye me hu? Mera wajood kya hai?
Me jeevan k kis mod par hu?
Kya mera vartaman hai?
Kya mera bhoot tha?
Or kya bhavishya hoga?
Kese jaanu me?
Kisse puchu?
Sochta hu par samjh nahi pata,
Samajhta hu par kuch kar nahi pata,
Karta hu to kuch ho nahi pata,
Or jo hota hai wo samajh nahi pata.....

-Heartthrob

No comments:

Post a Comment

Popular Posts